rind mansub bahar-kaif raha jam ke sath
zikr aa jata hai apna bhi tere nam ke sath
dil ne ehsas-e-tabahi ko panapne na diya
jam gardish mein raha gardish-e-ayyam ke sath
zindagi ko kabhi tartib mayassar na hui
ruKH badalte rahe haalat har ek gam ke sath
aap to aap zamana hai gurezan hum se
kaun rakhta hai talluq kisi badnam ke sath
hosh ko fursat-e-ehsas kahan baqi thi
aankh chalti rahi saqi ki har ek jam ke sath
mashghala koi nahin baada-gusari ke baghair
aisa manus hua dil nigah-o-jam ke sath
shamil-e-haal rahin un ki jafaen 'mazhar'
zindagi warna guzarti meri aaram ke sath

Ghazal
Rind mansub bahar-kaif raha jam ke sath
Syed Mazhar Gilani