rifaqaton ka talabgar bhi na hota tha
magar kisi se wo be-zar bhi na hota tha
kal us ke KHwab the jo aaj apni duniya hai
fasana-saz fusun-kar bhi na hota tha
subuk-rawi ki wahin shart bhi Thaharti thi
jahan se rasta hamwar bhi na hota tha
mere sirhane uThati thin hashr tabiren
abhi main KHwab se bedar bhi na hota tha
hawaon se tha gurezan wo KHud-girafta parind
kisi ke hathon giraftar bhi na hota tha
nihan hon aankh se barish mein dauDte shole
saman kuchh itna dhuan-dhaar bhi na hota tha
guzar dilon se ho sab is hawa mein the lekin
koi kisi ka taraf-dar bhi na hota tha
mera sukut na ho qufl-e-bab-e-mani 'yas'
bayan huruf ki diwar bhi na hota tha
Ghazal
Rifaqaton ka talabgar bhi na hota tha
Noor Mohammad Yaas