rifaqat ki ye KHwahish kah rahi hai
kai din se wo mujh mein rah rahi hai
pukara hai kuchh aise nam mera
ragon mein raushni si bah rahi hai
tajjub hai ki meri ungliyon mein
teri hathon ki KHushbu rah rahi hai
samajh paya nahin par sun raha hun
wo sargoshi mein kya kya kah rahi hai
teri KHwahish kisi imkan ki surat
hamesha mujh mein tah-dar-tah rahi hai
main us ki chhanw mein hun 'turk' lekin
wo meri dhup kaise sah rahi hai
Ghazal
Rifaqat ki ye KHwahish kah rahi hai
Zia-ul-Mustafa Turk