rida-e-waqt mein bas mah-o-sal bunte hue
ek umr kaT di tera KHayal bunte hue
ye rang us ka pasandida rang tha mahi
main aaj rone laga ek shaal bunte hue
usi zamin ko tartib se banana hai
nadi ke dhagon se shahron ki khaal bunte hue
mujhe taDapti uDanon ki yaad aati hai
tumhein bhi yaad kuchh aata hai jal bunte hue
zara sa azm tha poshak KHud banaunga
guzar gae hain magar kitne sal bunte hue
wo kokh bhi na bachi wahshiyon ke hathon se
safed un hua lal lal bunte hue
Ghazal
Rida-e-waqt mein bas mah-o-sal bunte hue
Ayush Charag