rida-e-sang oDh kar na so gaya ho kanch bhi
harim-e-zaKHm lazmi hai KHair-o-shar ki jaanch bhi
gae baras ki rakh jis ko dan ki thi aa gaya
isi nadi se ghusl kar ke do-hazar-panch bhi
muhaware ki ru se jaanchiye to wo sarab hai
main sanch bhi nahin nahin hai is badan ki aanch bhi
bharam zara sa mastiyon ka rakh ki hum hain ghat mein
ghazal-e-mast chashm ho idhar ko ek qalanch bhi
Ghazal
Rida-e-sang oDh kar na so gaya ho kanch bhi
Tanveer Monis