rida-e-jaan pe dohra azab bunta hun 
main rose jagti aankhon mein KHwab bunta hun 
KHayal-e-husn ki maKHmal pe tar-e-imkan se 
kabhi gulab kabhi mahtab bunta hun 
ghubar-e-KHatir-e-paiham se bujh bhi jaun agar 
shab-e-siyah mein koi aaftab bunta hun 
libas-e-shauq to muddat ka tar-tar hua 
qaba-e-dard pe ab pech-o-tab bunta hun 
tilism-e-zulf ki lahren Dubo hi deti hain 
kanar-e-sham jab mauj-e-sharab bunta hun 
kabhi main baam-e-mah-e-nau pe Dalta hun kamand 
kabhi main KHema-e-shahr-e-hijab bunta hun 
sulag uThe hai jo sahra bhi pa-e-wahshat se 
to kar-gah-e-junun par sahab bunta hun 
jab ek KHwab ka maKHmal ho tar-tar 'nadim' 
main dasht-e-wahm mein phir ek sarab bunta hun
        Ghazal
Rida-e-jaan pe dohra azab bunta hun
Kamran Nadeem

