rida-e-ahani har aadmi ke sar par hai
ki jaise sang ki barish isi nagar par hai
na kho jo muTThi mein ungli kisi ki ham-safaro
hamara qafila anjaani rahguzar par hai
bacha raha tha jo kal raat kali aandhi se
wo phal chaDha hua har shaKHs ki nazar par hai
wo kaun roi thi kajal laga ke aankhon mein
ye dhabba dhabba siyahi ruKH-e-sahar par hai
shikasta-haali pe har inT jin ki hansti hai
unhen ghurur usi TuTe phuTe ghar par hai
kab ehtiram ki KHatir jhuki meri gardan
ki ek laTakti si talwar mere sar par hai
sada laga ke kabhi ka chala gaya koi
ye bazgasht sada kyun tumhaare dar par hai
zara pata to lagaen lahu hai kyun taza
jo ek zamane se mahlon ke is khanDar par hai
chhupae rakhna tha aise KHushi ke mauqe par
wo ek dagh jo peshani-e-zafar par hai
baDa hi KHauf laga rahta hai phisalne ka
safar hamara abhi gili rahguzar par hai
main jhuT kaise kahun sach to kah nahin sakta
kuchh hashiya bhi laga raat ki KHabar par hai
Ghazal
Rida-e-ahani har aadmi ke sar par hai
Shamim Anwar