reza reza sa bhala mujh mein bikharta kya he
ab tera gham bhi nahin hai to ye qissa kya hai
kyun saja leta hai palkon pe ye ashkon ke charagh
ai hawa kuchh to bata phul se rishta kya he
us ne manga hai duaon mein KHuda se mujh ko
aur main chup hun bhala us ne bhi manga kya hai
sher-goi se kahin masale hal hote hain
jaante hum bhi hain in baaton mein rakkha kya hai
waqt jismon ko kamanon mein badal deta he
koi samjha do use KHud ko samajhta kya hai
KHud samajh jaoge hathon ki lakiren 'faruq'
us ki aankhon mein paDho ghaur se likkha kya hai
Ghazal
Reza reza sa bhala mujh mein bikharta kya he
Farooq Bakshi