اردو हिंदी
Ret pe sahil ki apne naqsh-e-pa chhoD aae hain | Shaahi Shayari
ret pe sahil ki apne naqsh-e-pa chhoD aae hain

Ghazal

Ret pe sahil ki apne naqsh-e-pa chhoD aae hain

Niyaz Jairajpuri

;

ret pe sahil ki apne naqsh-e-pa chhoD aae hain
ai hawa tere liye apna pata chhoD aae hain

lauT kar dekhenge us ke aage us ne kya likha
Diary mein us ki ek panna muDa chhoD aae hain

yun asar-andaz akele-pan ka dukh hum pe hua
tote ke pinjre ko aangan mein khula chhoD aae hain

shahr mein aa kar bhaTakte phir rahe hain dar-ba-dar
sidha sa har rasta apne ganw ka chhoD aae hain

guzre kyun mayus ho kar surat-e-sail hua
ek diya dahliz par jalta hua chhoD aae hain

jale bun kar makaDiyan mahfuz rakhengi use
waqt-e-ruKHsat ghar mein nam allah ka chhoD aae hain

us ke KHali-pan ko bhi bharne ki sochen ai 'niyaz'
waise to ration ka har Dibba bhara chhoD aae hain