ret ki tarah kinaron pe hain Darne wale
mauj-dar-mauj gae par utarne wale
aaj kanTon se gareban chhuDaen to sahi
lala-o-gul pe kabhi panw na dharne wale
rup se chhab se phaban se koi aagah nahin
naqsh-kar-e-lab-o-ariz hain sanwarne wale
koi jine ka saliqa ho to main bhi jaanun
maut aasan hai mar jate hain marne wale
mere jine ka ye uslub pata deta hai
ki abhi ishq mein kuchh kaam hain karne wale
Ghazal
Ret ki tarah kinaron pe hain Darne wale
Syed Aabid Ali Aabid