ret ki surat jaan pyasi thi aankh hamari nam na hui
teri dard-gusari se bhi ruh ki uljhan kam na hui
shaKH se TuT ke be-hurmat hain waise bhi be-hurmat the
hum girte patton pe malamat kab mausam mausam na hui
nag-phani sa shola hai jo aankhon mein lahraata hai
raat kabhi hamdam na bani aur nind kabhi marham na hui
ab yaadon ki dhup chhanw mein parchhain sa phirta hun
main ne bichhaD kar dekh liya hai duniya narm qadam na hui
meri sahra-zad mohabbat abr-e-siyah ko DhunDhti hai
ek janam ki pyasi thi ek bund se taza-dam na hui
Ghazal
Ret ki surat jaan pyasi thi aankh hamari nam na hui
Saqi Faruqi