ret ki lahron se dariya ki rawani mange
main wo pyasa hun jo sahraon se pani mange
tu wo KHud-sar ki ulajh jata hai aainon se
main wo sarkash ki jo tujh se tera sani mange
wo bhi dharti pe utari hui maKHluq hi hai
jis ka kaTa hua insan na pani mange
abr to abr shajar bhi hain hawa ki zad mein
kis se dam bhar ko koi chhanw suhani mange
uDte patton pe lapakti hai yun Dali Dali
jaise jate hue mausam ki nishani mange
main wo bhula hua chehra hun ki aaina bhi
mujh se meri koi pahchan purani mange
zard malbus mein aati hain bahaaren 'shahid'
aur tu rang KHizaon ka bhi dhani mange
Ghazal
Ret ki lahron se dariya ki rawani mange
Shahid Kabir