ret ke ek shahr mein aabaad hain dar dar ke log
be-zamin be-asman be-panw ke be-sar ke log
mera ghayal jism hai meri rihaish ka pata
main jahan rahta hun rahte hain wahan patthar ke log
ek ek lamha hai qatra zindagi ke KHun ka
aafiyat ka sans bhi lete hain to Dar Dar ke log
aur diwaron se diwaren nikalti hain abhi
sath rah kar bhi alag rahte hain sare ghar ke log
chand miTTi ka diya hai ye kise malum tha
aasman-dar-asman uDte rahe be-par ke log
jhank kar dekha hai hum ne waqt ke hammam mein
apne hi jaise nazar aae hain duniya-bhar ke log
Ghazal
Ret ke ek shahr mein aabaad hain dar dar ke log
Yaseen Afzal