ret bhari hai in aankhon mein aansu se tum dho lena
koi sukha peD mile to us se lipaT ke ro lena
us ke baad bahut tanha ho jaise jangal ka rasta
jo bhi tum se pyar se bole sath usi ke ho lena
kuchh to ret ki pyas bujhao janam janam ki pyasi hai
sahil par chalne se pahle apne panw bhigo lena
main ne dariya se sikhi hai pani ki ye parda-dari
upar upar hanste rahna gahrai mein ro lena
rote kyun ho dil walon ki qismat aisi hoti hai
sari raat yunhi jagoge din nikle to so lena
Ghazal
Ret bhari hai in aankhon mein aansu se tum dho lena
Bashir Badr