ret aankhon mein bhar gaya dariya
kaise aaya kidhar gaya dariya
rasta mil saka na aankhon se
mere andar hi mar gaya dariya
main to pyasa tha KHushk sahra sa
mujh mein kaise utar gaya dariya
us ki aankhon ki dekh gahrai
KHamushi se guzar gaya dariya
baat kitni thi muKHtasar us ki
wo to kuze mein bhar gaya dariya
phir muqaddar wahan thi barbaadi
jis taraf se guzar gaya dariya
dekhne ki thin us ki maujen phir
baat se jab mukar gaya dariya
dekh kar is qadar talatum ko
meri aankhon se Dar gaya dariya
Ghazal
Ret aankhon mein bhar gaya dariya
Asif Anjum