resham resham titli dekhun KHwab-nagar ki wadi mein
kis ki KHushbu phail rahi hai dil ki viran basti mein
sat-rangi sapnon mein chehra sat-rangi ho jae hai
indr-dhanush ka rang mila hai tumre nam ki haldi mein
yun to babuli ke panghaT par sakhiyon ke sang baiThi hun
lekin man ki gori chupke chupke utre pani mein
hathon ki mehndi jo tumhaare nam ki mala japti hai
bijli jaisi dauD paDe hai nazuk nazuk ungli mein
aao sanson ke panw mein yun pael hum pahna den
meri mang ke jagmag tare chamke tumri pagDi mein
shishe ke sapnon ko le kar pyar ki KHatir aai hun
hath mera tum tham ke chalna jiwan ki pagDanDi mein
rishton ke bandhan ko toDe aaj sajan ghar aai hun
le kar kuchh yaadon ki goya bachpan ki ek peTi mein
halki halki bunda-bandi phir bhi galiyaron mein hai
git milan ka gunj raha hai yun to man ki wadi mein
an-jaani uljhan hai phir bhi sukh ke mausam mein 'sagar'
jaane jugnu kis ko DhunDe andhiyaron ki basti mein
Ghazal
Resham resham titli dekhun KHwab-nagar ki wadi mein
Taufeeq Sagar