reg-e-rawan pe naqsh-e-kaf-e-pa na dekhna
aaina-e-zamir mein chehra na dekhna
be-sarfa hai lahu ki tamazat mere liye
asrar-e-jism-o-jaan ko barhana na dekhna
jo aansuon ke lal-o-jawahar bikher de
us ek mauj-e-dard ko uThta na dekhna
raaton ka chain din ka sukun ho agar aziz
chalta hai sath sath jo saya na dekhna
hai shab ki aastin mein gunahon ki raushni
zaKHm-e-nazar se surat-e-zeba na dekhna
hum bhi fasil-e-shahr ke sae mein aa ruke
wa ho dar-e-murad to sahra na dekhna
ye ehtiyat-e-waz-e-junun hi nahin magar
rah-e-wafa mein apne ko begana dekhna
har shaKH par jale hue lamhon ki rakh hai
fasl-e-bahaar zaKHm-e-tamanna na dekhna

Ghazal
Reg-e-rawan pe naqsh-e-kaf-e-pa na dekhna
Shafqat Tanveer Mirza