اردو हिंदी
Rawish rawish pe hain nikhat-fashan gulab ke phul | Shaahi Shayari
rawish rawish pe hain nikhat-fashan gulab ke phul

Ghazal

Rawish rawish pe hain nikhat-fashan gulab ke phul

Majeed Amjad

;

rawish rawish pe hain nikhat-fashan gulab ke phul
hasin gulab ke phul arghawan gulab ke phul

jahan-e-girya-e-shabnam se kis ghurur ke sath
guzar rahe hain tabassum-kunan gulab ke phul

ye mera daman-e-sad-chaak ye rida-e-bahaar
yahan sharab ke chhinTe wahan gulab ke phul

KHayal-e-yar tere silsile nashon ki ruten
jamal-e-yar teri jhalkiyan gulab ke phul

meri nigah mein daur-e-zaman ki har karwaT
lahu ki lahr dilon ka dhuan gulab ke phul

sulagte jate hain chup-chap hanste jate hain
misal-e-chehra-e-paighambaran gulab ke phul

ye kya tilism hai ye kis ki yasmin banhen
chhiDak gai hain jahan-dar-jahan gulab ke phul

kaTi hai umr bahaaron ke sog mein 'amjad'
meri lahad pe khilen jawedan gulab ke phul