rawan rahta hai kis ki mauj mein din raat tu pani
tujhe kis gauhar-e-nayab ki hai justuju pani
wahi mere liye saqi mai-e-gulfam ban jae
jo apne dast-e-nazuk se pila de mujh ko tu pani
agar dariya mein tum dast-e-hinai apne dho lete
to ab tak ho gaya hota kabhi ka suraKH-ru pani
kiya karte the baDh baDh kar bahut baaten safai ki
mere ashkon ne kar di motiyon ki aabru pani
bahut aasan hai muztar zalil-o-KHwar ho jaana
jo mushkil hai to chashm-e-KHalq mein kuchh aabru pani
Ghazal
Rawan rahta hai kis ki mauj mein din raat tu pani
Muztar Khairabadi