اردو हिंदी
Rawan nadi ke kinare saDak pe ruk jaana | Shaahi Shayari
rawan nadi ke kinare saDak pe ruk jaana

Ghazal

Rawan nadi ke kinare saDak pe ruk jaana

Inam Kabeer

;

rawan nadi ke kinare saDak pe ruk jaana
tum aansuon se nikalna palak pe ruk jaana

wo bar bar nahin bolta Thaharne ko
so us ki ek zara si lachak pe ruk jaana

ai mere yar tere pichhe aa raha hun main
tu intizar ki KHatir falak pe ruk jaana

wo jis jagah pe mile the hum aaKHiri lamhe
tum us ki samne wali saDak pe ruk jaana