اردو हिंदी
Rawan kis ko KHabar unwan-e-aghaz-e-jahaan kya tha | Shaahi Shayari
rawan kis ko KHabar unwan-e-aghaz-e-jahaan kya tha

Ghazal

Rawan kis ko KHabar unwan-e-aghaz-e-jahaan kya tha

Jagat Mohan Lal Ravan

;

'rawan' kis ko KHabar unwan-e-aghaz-e-jahaan kya tha
zamin ka kya tha naqsha aur rang-e-asman kya tha

yahi hasti isi hasti ke kuchh TuTe hue rishte
wagarna aisa parda mere un ke darmiyan kya tha

tera baKHsha hua dil aur dil ki ye hawas-kari
mera is mein qusur ai dast-gir-e-asiyan kya tha

agar kuchh roz zinda rah ke mar jaana muqaddar hai
to is duniya mein aaKHir bais-e-taKHliq-e-jaan kya tha

hum itne fasle par aa gae hain ahd-e-mazi se
KHabar ye bhi nahin ajdad ka nam-o-nishan kya tha

kisi barq-e-tajalli par zara sa ghaur kar lena
agar ye jaanna ho aalam-e-ruh-e-'rawan kya tha