rawan hai qafila-e-justuju kidhar mera
koi samajh na saka maqsad-e-safar mera
sukun-e-ruh mila halqa-e-rasan mein mujhe
wagarna bar-e-garan tha badan pe sar mera
main apne hath ke chhaale dikhata phirta hun
dilae koi mujhe hissa-e-samar mera
har ek shajar hai mera yun to sare jangal mein
ajab sitam hai nahin saya-e-shajar mera
kaho ye abr se kya faeda barasne ka
ki ab to jal bhi chuka hai tamam ghar mera
isi liye meri manzil na mil saki mujh ko
ki mere sath ek rahzan tha ham-safar mera
Ghazal
Rawan hai qafila-e-justuju kidhar mera
Asad Jafri