اردو हिंदी
Rawan hai mauj-e-fana jism o jaan utar mujhe | Shaahi Shayari
rawan hai mauj-e-fana jism o jaan utar mujhe

Ghazal

Rawan hai mauj-e-fana jism o jaan utar mujhe

Khalid Karrar

;

rawan hai mauj-e-fana jism o jaan utar mujhe
utar ab ke sar-e-asman utar mujhe

mera wajud samundar ke iztirab mein hai
ki khul raha hai tera baadban utar mujhe

bahut aziz hun KHaran-e-taza-kar ko main
bahut udas hai dasht-e-jawan utar mujhe

koi jazira jahan hast-o-bud ho na fana
wajud ho na zamana wahan utar mujhe