rawan dawan su-e-manzil hai qafila ki jo tha 
wahi hanuz hai yak-dasht fasla ki jo tha 
nashat-e-gosh sahi jal-tarang ki aawaz 
nafas nafas hai ek aashob-e-karbala ki jo tha 
gaya bhi qafila aur tujh ko hai wahi ab tak 
KHayal-e-zad-e-safar fikr-e-rahila ki jo tha 
wo aae jata hai kab se par aa nahin jata 
wahi sada-e-qadam ka hai silsila ki jo tha
        Ghazal
Rawan dawan su-e-manzil hai qafila ki jo tha
Urfi Aafaqi

