rawan-dawan nai tahzib ka safar rakkho
magar nigah ko manzil se ba-KHabar rakkho
sadaqaton ki hifazat ka hausla ho agar
to apne hathon se neze pe apna sar rakkho
tumhaari nasl ki parwaz mein KHalal na paDe
mat un ke samne apne shikasta par rakkho
na gham karo jo kaDi dhup ka safar hai hayat
jilau mein apne koi saya-e-shajar rakkho
sahar ke bhule sar-e-sham lauT aaenge
lawen baDha ke charaghon ki baam par rakkho
jo sach likhogi to phir kuchh na likh sakogi 'nasim'
qalam mein mani badalne ka bhi hunar rakkho
Ghazal
Rawan-dawan nai tahzib ka safar rakkho
Malika Naseem