rawa-rawi mein gulon ki bahaar kya dekhen
chaman chaman hai KHizan darkinar kya dekhen
nawa-e-soz-e-fughan shoala-bar kya dekhen
jahan-e-husn mein ek KHalfashaar kya dekhen
har ek rang mein ye markaz-e-ham-o-gham hai
maal-e-hasti-e-na-paedar kya dekhen
wo log jo ki maal-e-chaman se waqif hain
KHizan-nasib gulon ki bahaar kya dekhen
wo chaar tinke nasheman ke kya bache honge
chaman pe barq giri lakh bar kya dekhen
nazar fareb hai 'jauhar' ye karobar-e-jahan
farogh-e-mah o gul-e-mushk-bar kya dekhen
Ghazal
Rawa-rawi mein gulon ki bahaar kya dekhen
Jauhar Zahiri