raunaton mein na itni bhi intiha ho jae
ki aadmi na rahe aadmi KHuda ho jae
usi ke pas ho sab iKHtiyar bolne ka
aur us ke samne har shaKHs be-sada ho jae
ghire hue hain ajab ahd-e-be-yaqini mein
KHabar nahin ki kahan kis ke sath kya ho jae
kahan kahan se uThae saron ki fasl koi
tamam shahr hi jab dasht-e-karbala ho jae
ab is se baDh ke tere sath kya mohabbat ho
main tujh ko yaad karun aur samna ho jae
talluqat mein gunjaishen to hoti hain
zara si baat pe kya aadmi KHafa ho jae
hum ahl-e-harf baDe sahab-e-karamat hain
hamare hath mein patthar bhi aaina ho jae
hum ek ishaare se ruKH moD den hawaon ka
nazar karen to samundar mein rasta ho jae
kabhi to manzil-e-subh-e-yaqin mile 'arif'
kahin to KHatm gumanon ka silsila ho jae
Ghazal
Raunaton mein na itni bhi intiha ho jae
Syed Arif