raushni tak raushni ka rasta kah lijiye
raat ko sham-o-sahar ka fasla kah lijiye
de gai kitni bahaaren ek fasl-e-arzu
rang-o-bu ko mausamon ka KHun-baha kah lijiye
gunjti hai umr-e-viran mein tamanna ki thakan
harf-e-gham ko gumbad-e-jaan ki sada kah lijiye
kund aaKHir kar gain talwar ko KHun-reziyan
dosti ko dushmani ki intiha kah lijiye
baal-o-par khulte nahin jin ke nasheman ki taraf
un uDanon ko hawaon ki ghiza kah lijiye
mausam-e-gul dekhiye khulte darichon ke tale
baam-o-dar ko shahr ki aab-o-hawa kah lijiye
kuchh nahin milta 'samad' patthar ko teshe ke siwa
aazari ko aazari nam-e-KHuda kah lijiye

Ghazal
Raushni tak raushni ka rasta kah lijiye
Samad Ansari