raushni subh ki ya shab ki syahi denge
jo bhi dena hai tumhein zill-e-ilahi denge
shaiKH sahab to azal se hain dushman mere
kha ke quran ki qasam jhuTi gawahi denge
un se rakhiye na kisi mehr-o-wafa ki ummid
ye to aise hain ki suraj ko syahi denge
mausam-e-lutf-e-ata hai abhi maiKHane mein
jam kya chiz hai ye tum ko surahi denge
to hiqarat ki nazar se na unhen dekh miyan
ye phaTe kapDe tujhe KHilat-e-shahi denge
aisa lagta hai hawaon ke ye pagal jhonke
ret par likkhi ibarat ko miTa hi denge
itni mayusi bhi achchhi nahin khoTe sikko
ek na ek din tumhein hum log chala hi denge
karke ye faisla hum ghar se chale hain 'qaisar'
kuchh khari khoTi tumhein aaj suna hi denge

Ghazal
Raushni subh ki ya shab ki syahi denge
Qaisar Siddiqi