raushni si dil ke zaKHmon mein utar aane ko hai
ai shab-e-gham phir tera chehra nazar aane ko hai
aasman par sham ka tara nazar aane ko hai
KHwahishon ka chaDhta suraj jab utar aane ko hai
kya masafat hai ki sahra KHatm hota hi nahin
tum to kahte the ki is raste mein ghar aane ko hai
phir hamare zehn-o-dil par buz-dili tari hui
dekh lena phir koi patthar idhar aane ko hai
jhiDkiyan beTe ki sun kar ashk man ne pi liye
dard lekin buDhe chehre par ubhar aane ko hai
lafz ki tahzib ka bhi pas lazim hai janab
guftugu meayar se niche utar aane ko hai
kaT kar peDon ko insan jal raha hai dhup mein
aur ye ilzam bhi mausam ke sar aane ko hai
dekhiye kya T w channel paDhiye kya aKHbar mein
in dinon bhi kya koi achchhi KHabar aane ko hai
Ghazal
Raushni si dil ke zaKHmon mein utar aane ko hai
Nusrat Mehdi