raushni se tirgi tabir kar di jaegi
rang se mahrum har taswir kar di jaegi
adl ke mear mein aa jaengi tabdiliyan
be-gunahi laeq-e-tazir kar di jaegi
har nazar ko aarzuon ka samundar baKHsh kar
har zaban par tishnagi tahrir kar di jaegi
dab ke rah jaenge jazbon ke ujale ek din
zulmat-e-iflas aalamgir kar di jaegi
har kalai har tamanna har haqiqat har wafa
aashna-e-halqa-e-zanjir kar di jaegi
banjh ho kar rah gaya jis waqt dharti ka badan
tab hamare nam ye jagir kar di jaegi
dafn kar ke is ki buniyaadon mein insanon ke sar
ek mohazzab shahr ki tamir kar di jaegi

Ghazal
Raushni se tirgi tabir kar di jaegi
Sarwar Arman