اردو हिंदी
Raushni saya-e-zulmat se aage na baDhi | Shaahi Shayari
raushni saya-e-zulmat se aage na baDhi

Ghazal

Raushni saya-e-zulmat se aage na baDhi

Shakeel Badayuni

;

raushni saya-e-zulmat se aage na baDhi
zindagi shama ki ek raat se aage na baDhi

apni hasti ka bhi insan ko irfan na hua
KHak phir KHak thi auqat se aage na baDhi

nam bad-nam hua sinf-e-ghazal ka lekin
shairi rasm-o-riwayat se aage na baDhi

be-takalluf hui tajdid-e-mulaqat magar
wo bhi ek tishna mulaqat se aage na baDhi

zulf-bar-dosh wo ek bar to aae the 'shakil'
phir koi raat bhi us raat se aage na baDhi