raushni sans hi le le to Thahar jata hun
ek jugnu bhi chamak jae to Dar jata hun
meri aadat mujhe pagal nahin hone deti
log to ab bhi samajhte hain ki ghar jata hun
main ne is shahr mein wo Thokaren khai hain ki ab
aankh bhi mund ke guzrun to guzar jata hun
is liye bhi mera eazaz pe haq banta hai
sar jhukae hue jata hun jidhar jata hun
is qadar aap ke badle hue tewar hain ki main
apni hi chiz uThate hue Dar jata hun
Ghazal
Raushni sans hi le le to Thahar jata hun
Ahmad Kamal Parwazi