raushni rangon mein simTa hua dhoka hi na ho
main jise jism samajhta hun wo saya hi na ho
aaina TuT gaya chunta hun reza reza
isi aaine mein mera kahin chehra hi na ho
main to diwar ke is par rawan hun kab se
koi diwar ke us par bhi chalta hi na ho
wo jo sunta hai meri baat baDe ghaur ke sath
baad jaane ke mere mujh pe wo hansta hi na ho
jagti aankhon mein kyun phailta jata hai KHala
kha gai hai jise duri tera rasta hi na ho
moD har rah pe panw se lipaT jate hain
wo mujhe chhoD ke chal de kahin aisa hi na ho
us ke milne pe bhi mahsus hua hai 'sarmad'
us ne dekha hi na ho main ne bulaya hi na ho
Ghazal
Raushni rangon mein simTa hua dhoka hi na ho
Sarmad Sahbai