raushni mein kis qadar diwar-o-dar achchhe lage
shahr ke sare makan sare khanDar achchhe lage
pahle pahle main bhi tha amn o aman ka mo'tarif
aur phir aisa hua nezon pe sar achchhe lage
jab talak aazad the har ek masafat thi wabaal
jab paDi zanjir pairon mein safar achchhe lage
daera dar daera pani ka raqs jawedan
aankh ki putli ko dariya ke bhanwar achchhe lage
kaise kaise marhale sar teri KHatir se kiye
kaise kaise log tere nam par achchhe lage
Ghazal
Raushni mein kis qadar diwar-o-dar achchhe lage
Asad Badayuni