raushni lene chale the aur andhere chha gae
muskurane bhi na pae the ki aansu aa gae
aaj kitne dost mujh ko dekh kar katra gae
allah allah ab mohabbat mein ye din bhi aa gae
jab bhi aaya hai kisi ko bhul jaane ka KHayal
yak-ba-yak aawaz aai lijiye hum aa gae
aah wo manzil jo meri ghaflaton se gum hui
hae wo rahbar jo mujh ko rah se bhaTka gae
phir ye rah rah kar kisi ki yaad taDpati hai kyun
ab to hum tark-e-mohabbat ki qasam bhi kha gae
dekh kar un ki nigah-e-lutf ek muddat ke baad
kya bataen kya KHayal aaya ki aansu aa gae
un ke hi qadmon ki aahaT raat bhar aati rahi
dil ki har dhaDkan pe hum samjhe ki wo KHud aa gae
ab koi dair o haram se bhi sada aati nahin
hum teri dhun mein KHuda jaane kahan tak aa gae

Ghazal
Raushni lene chale the aur andhere chha gae
Shamim Jaipuri