اردو हिंदी
Raushni ke saz-o-saman DhunDhta phirta tha main | Shaahi Shayari
raushni ke saz-o-saman DhunDhta phirta tha main

Ghazal

Raushni ke saz-o-saman DhunDhta phirta tha main

Kuldeep Kumar

;

raushni ke saz-o-saman DhunDhta phirta tha main
un dinon ek chand ki tamir mein uljha tha main

aaKHiri manzar hi shab ka hath lag paya mere
kal teri mahfil mein thoDa der se pahuncha tha main

us purane ghar ki wo diwar ab ke gir gai
han wahi diwar jis par ab talak likkha tha main

us ki bahon se nikal aaya bhi tha mera badan
aur us ke sine mein ab tak kahin lipTa tha main

umr-bhar ki mushkilen hans kar ke main ne par ki
ek KHushi mujh ko mili thi bas tabhi roya tha main

wo mere TuTe hue kirchon ko kab tak joDta
thoDa thoDa kar ke sare ghar mein hi bikhra tha main

puchhiye mat kya sukun-e-mustaqil tha qabr mein
muddaton ke baad aisi nind mein soya tha main