raushni ke rup mein KHushbu mein ya rangon mein aa
main tujhe pahchan lunga kitne hi chehron mein aa
band aankhon mein bhi kya hogi teri be-pardagi
chhin le mujh se ye ninden ya mere KHwabon mein aa
nach uThe raqqasa-e-jaan dhaDkanon ki thap par
saz hathon mein uThae dil ke sannaTon mein aa
tu jo sharmata hai mere samne aate hue
oDh le mera tasawwur phir meri bahon mein aa
kar diye hain zindagi ne muKHtalif hisse mere
mujh se milna hai agar baT kar kai sayon mein aa
shahr mein bhi KHak uDati phir rahi hain wahshaten
chhoD virane 'muzaffar' ab gali-kuchon mein aa

Ghazal
Raushni ke rup mein KHushbu mein ya rangon mein aa
Muzaffar Warsi