اردو हिंदी
Raushni ka sath mahnga paD gaya hai | Shaahi Shayari
raushni ka sath mahnga paD gaya hai

Ghazal

Raushni ka sath mahnga paD gaya hai

Nishant Shrivastava Nayab

;

raushni ka sath mahnga paD gaya hai
jaane kis wahshat mein saya paD gaya hai

aap ki jadugari ke waste hi
KHud ko hairat mein dikhana paD gaya hai

phir mujhe darpesh hain KHushiyan tumhaari
phir se gham apna chhupana paD gaya hai

hum kahan un ko biThaen soch mein hain
ghar hamara kitna chhoTa paD gaya hai

dasht ki azmat bhi ab KHatre mein aai
mere pichhe ghar ka rasta paD gaya hai

khinch lata hai mujhe dar tak tumhaare
mere pichhe koi bachcha paD gaya hai

main laga hun DhunDhne mein ruh ko aur
jism bechaara akela paD gaya hai