raushni hi raushni hai shahr mein
phir bhi goya tirgi hai shahr mein
roz-o-shab ke shor-o-ghul ke bawajud
ek tarah ki KHamushi hai shahr mein
rail ki paTri pe so jate hain log
kitni aasan KHud-kushi hai shahr mein
jo imarat hai wo sar se panw tak
ishtihaaron se saji hai shahr mein
ganw chhoDe ho chuki muddat magar
'KHawar' ab tak ajnabi hai shahr mein
Ghazal
Raushni hi raushni hai shahr mein
Badiuzzama Khawar