raushni hasb-e-zarurat bhi nahin mangte hum
raat se itni suhulat bhi nahin mangte hum
dushman-e-shahr ko aage nahin baDhne dete
aur koi tamgha-e-jurat bhi nahin mangte hum
sang ko shisha banane ka hunar jaante hain
aur is kaam ki ujrat bhi nahin mangte hum
kisi diwar ke sae mein Thahar lene de
dhup se itni riayat bhi nahin mangte hum
sari dastaron pe dhabbe hain lahu ke 'azhar'
aise kufe mein to izzat bhi nahin mangte hum
Ghazal
Raushni hasb-e-zarurat bhi nahin mangte hum
Azhar Adeeb