اردو हिंदी
Raushni dar pe khaDi mujhko bulati kyun hai | Shaahi Shayari
raushni dar pe khaDi mujhko bulati kyun hai

Ghazal

Raushni dar pe khaDi mujhko bulati kyun hai

Sakhawat Shameem

;

raushni dar pe khaDi mujh ko bulati kyun hai
main andhere mein hun ehsas dilati kyun hai

raat hissa hai meri umr ka ji lene de
zindagi chhoD ke tanha mujhe jati kyun hai

shahr ke log to saDkon pe raha karte hain
ghar banane ki lagan mujh ko satati kyun hai

gumrahi se bhi mera zauq-e-safar kam to nahin
rah lekin mere qadmon ko churaati kyun hai

jaan-ba-lab lamha-e-taskin meri qismat hai 'shamim'
be-KHudi phir mujhe diwana banati kyun hai