raushni ban ke andhere pe asar hum ne kiya
dasht-e-tanhai se kya KHub guzar hum ne kiya
bandish-e-hijr ko toDa nahin tu ne aa kar
yaad kya tujh ko nahin sham o sahar hum ne kiya
ek bayaban bhi mila muntazir-e-nur-e-azal
dil ki virani ko jab pesh-e-nazar hum ne kiya
aur kuchh ho na saka surat-e-darman lekin
apna daman to sar-e-dida-e-tar hum ne kiya
dard ke mare hue log the KHwabon ke qarib
kaise nadida zamanon ka safar hum ne kiya
hum ne dekha hai wahan phir bhi ujala 'rashid'
sath rahte hue sab ke jahan ghar hum ne kiya
Ghazal
Raushni ban ke andhere pe asar humne kiya
Rashid Taraz