اردو हिंदी
Raushan tamam kaba o but-KHana ho gaya | Shaahi Shayari
raushan tamam kaba o but-KHana ho gaya

Ghazal

Raushan tamam kaba o but-KHana ho gaya

Yagana Changezi

;

raushan tamam kaba o but-KHana ho gaya
ghar-ghar jamal-e-yar ka afsana ho gaya

surat-parast kab hue mani se aashna
aalam fareb-e-tur ka afsana ho gaya

chashm-e-hawas hai shefta-e-husn-e-zahiri
dil aashna-e-mani-e-begana ho gaya

aasan nahin hai aag mein danista kudna
diwana shauq-e-wasl mein parwana ho gaya

kaifiyat-e-hayat thi dam bhar ki mehman
labrez pite hi mera paimana ho gaya

ashkon se jam bhar gae saqi ki yaad mein
kuchh to maal-e-majlis-e-rindana ho gaya

dair o haram bhi Dhah gae jab dil nahin raha
sab dekhte hi dekhte virana ho gaya

kal ki hai baat josh pe tha aalam-e-shabab
yaadash-ba-KHair aaj ek afsana ho gaya

aaina dekhta hai gareban ko phaD kar
wahshi ab apna aap hi diwana ho gaya

kya jaane aaj KHwab mein kya dekha 'yas' ne
kyun chaunkte hi aap se begana ho gaya