raushan sukut sab usi shoala-bayan se hai
is KHamushi mein dil ki tawaqqo zaban se hai
KHashak hain wo barg jo TuTe shajar se hon
hum se musafiron ka bharam karwan se hai
ehsas-e-gumrahi se masafat hai ji ka rog
ab ke thakan mujhe safar-e-raegan se hai
ya aa ke ruk gai hai KHat-e-tirgi pe aankh
hai raushni to TuTi hui darmiyan se hai
jab tak lahu safar mein hai main raste mein hun
kashti hawa ke sath khule baadban se hai
hai har barahnagi ka labaada par-e-badan
is KHak-dan ka husn zaman-o-makan se hai
sahra-e-be-kanar hi toDe hawa ka zor
KHwahish ko KHar ab ke dil-e-saKHt-jaan se hai
har-chand main bhi naqsh-gar-e-ahd-e-haal hun
taswir KHak-e-rahguzar-e-raftagan se hai

Ghazal
Raushan sukut sab usi shoala-bayan se hai
Saleem Shahid