اردو हिंदी
Raushan hazar chand hain shams-o-qamar se aap | Shaahi Shayari
raushan hazar chand hain shams-o-qamar se aap

Ghazal

Raushan hazar chand hain shams-o-qamar se aap

Imdad Ali Bahr

;

raushan hazar chand hain shams-o-qamar se aap
ghaeb hain par nigah ki surat nazar se aap

aankhen bichhate phirte hain mushtaq rah mein
kya jaaniye guzarte hain kis rahguzar se aap

roe koi gharib to hansna na chahiye
waqif nahin kisi ke fughan-e-asar se aap

kanTe bhare hain KHat mein jo chhute nahin ise
itna na hath khinchiye meri KHabar se aap

rahgir kyun taDapte hain tashwish thi mujhe
ab khul gaya ki jhankte hain chaak-e-dar se aap

hammam ne to aur bhi chamka diya badan
goya naha ke nikle hain aab-e-guhar se aap

laenge rah par ye ruKH-o-zulf ek din
dekhenge sham tak mera rasta sahar se aap

aankhon ki tarah rone lagen rauzan-e-makan
puchhen hamara haal jo diwar-o-dar se aap

mirriKH-pan mizaj mein aaza mein nazuki
tegh-e-shua bandhiye apni kamar se aap

ai zahidan-e-KHushk ye ghairat ka hai maqam
aagah aaj tak nahin KHaliq ke ghar se aap

zahir hai murgh-e-qibla-numa bhi gawah hai
kabe ki samt puchhte hain jaanwar se aap

kyunkar malak kahun ki malak KHadim aap ke
hain wo bashar ki malti hain KHairul-bashar se aap

jo baat aap ki hai mashiyyat KHuda ki hai
be-shubah muKHtalat hain qaza-o-qadar se aap

phisla hai mere aansuon mein panw aap ka
bande ka sar utariye aaj apne sar se aap

ai 'bahr' rahm khaega wo rone par zarur
dho rakhiye apne munh ko zara chashm-e-tar se aap