raushan hain dil ke dagh na aankhon ke shab-charagh
kyun sham hi se bujh gae mahfil ke sab charagh
wo din nahin kiran se kiran mein lage jo aag
wo shab kahan charagh se jalte the jab charagh
tera hai KHak-dan to falak be-nujum hai
lae kahan se mang ke dast-e-talab charagh
raushan-zamir aaj bhi zulmat-nasib hain
tum ne diye hain puchh ke nam-o-nasab charagh
wo tirgi hai dasht-e-wafa mein ki al-aman
chamke jo mauj-e-reg to pae laqab charagh
din ho agar to raat se tabir kyun karen
suraj ko ahl-e-hosh dikhate hain kab charagh
ai baad-e-tund waza ke paband hum bhi hain
patthar ki oT le ke jalaenge ab charagh
Ghazal
Raushan hain dil ke dagh na aankhon ke shab-charagh
Shakeb Jalali

