raushan hai bazm-e-shoala-ruKHan dekhte chalen
is mein wo ek nur-e-jahan dekhte chalen
wa ho rahi hai mai-kada-e-nim-shab ki aankh
angDai le raha hai jahan dekhte chalen
sargoshiyon ki raat hai ruKHsar o lab ki raat
ab ho rahi hai raat jawan dekhte chalen
dil mein utar ke sair-e-dil-e-rah-rawan karen
aahon mein Dhal ke zabt-e-fughan dekhte chalen
kaise hain KHanqah mein arbab-e-KHanqah
kis haal mein hai pir-e-mughan dekhte chalen
mazi ki yaadgar sahi yaad-e-dil to hai
tarz-e-nashat-e-nauha-garan dekhte chalen
sab waswase hain gard-e-rah-e-karwan ke sath
aage hai mishalon ka dhuan dekhte chalen
aanchal se uD rahe hain fazaon mein dur dur
shayad wahi ho jaan-e-butan dekhte chalen
aa hi gae hain raqs-gah-e-gul-ruKHan mein hum
kuchh rang-o-bu ka sail-e-rawan dekhte chalen
Ghazal
Raushan hai bazm-e-shoala-ruKHan dekhte chalen
Makhdoom Mohiuddin