raushan aainon mein jhuTe aks utar gaya
kaisa KHwab tha meri sari umr guzar gaya
waqt ki aankhon mein dekhi kali ghanghor ghaTa
lekin gaz bhar chhanw nahin thi jab main par gaya
main kyun arz-e-tamanna le kar us dar par jaun
mauj-e-baad-e-saba ke pichhe kab gulzar gaya
is duniya mein be-qadron se kis ne paya faiz
us ke pyar mein jina marna sab bekar gaya
ab sunsan gali mein saya tak maujud nahin
aadhi raat ke sannaTe mein kaun pukar gaya
chehron ko pairon se kuchal kar aage baDh jaana
jit isi ko kahte hain to phir main haar gaya
Ghazal
Raushan aainon mein jhuTe aks utar gaya
Shahnawaz Zaidi

