raunaq tere kuche ki baDhane chale aae
arbab-e-junun hashr uThane chale aae
ab aur numaindagi-e-shab na karo tum
hum parcham-e-KHurshid uDane chale aae
jab garmi-e-shabnam se badan jalne laga hai
hum aag ke dariya mein nahane chale aae
jo log mera naqsh-e-qadam chum rahe the
ab wo bhi mujhe rah dikhane chale aae
jin se mujhe phulon ki thi ummid wahi log
kanTe meri rahon mein bichhane chale aae
ye gardish-e-haalat ki hai zarra-nawazi
wo KHud hi mujhe aaj manane chale aae
kya ye bhi koi anjuman-e-mah-washan hai
'rahi' bhi ghazal apni sunane chale aae
Ghazal
Raunaq tere kuche ki baDhane chale aae
Asghar Rahi